और ये महाभारत की कहानी कृष्णा हिंदी भजन लिरिक्स
Aur Ye Mahabharat Ki Kahanai Krishna Hindi Bhajan Lyrics
Download Aur Ye Mahabharat Ki Kahanai Krishna Hindi Bhajan Lyrics :MP3 | MP4 | M4R iPhone | Download For Android Phone | Download For Apple Phone | Download For Audio File | Download For Video File
Aur Ye Mahabharat Ki Kahanai Krishna Hindi Bhajan Lyrics -HD Video Download
Aur Ye Mahabharat Ki Kahanai Krishna Hindi Bhajan Lyrics
Sataya asatya kalesh kalank
Dwapar yug ki kahani ye
Hastinapur mein beeta jo
Vo saamne sabke laani hai
100 putra gandhari ke
Aur Kunti ko 6 ka vardaan
Kuch pandav keh laaye aur
Baki ko mila kaurav ka naam
Duryodhan ko yojna aayi
Bhojan mein fir vish tha milaya
Bheem ko marne ki vansha thi
baal bhi baakan na ho paya
Aayojit hui aisi sabha
Sab veer hue the jama vahan
Bheem ne jo fir GADA ghumaya
Sammohit tha sara sama
jaati kul sammaan ko lekar
Kaushal ka dene pramaad
Karna ne arjun ko lalkaara
Soot putra ko mili pehchaan
Aisa fir chadyantra racha jo
Pandu vansh ka ant kare
Bacha liya par vidur ne unko
Pandav van prashtaan kare
Fir aisa sandesha aya
Nyota jo swayavar ka laya
Hodd machi thi veero ki par
Arjun ka parcham lehraya
Bhrata aur patni sahit
Ghar ab vo laut chale
Bin dekhe mata ne kaha
vo shabd bhi dil ko bhed chale
Shakuni ka prapanch suno
Paaso ko feka jaal buna
Dharmraaj kuch samajh na paya
Raj paath sang maan gawaya
Dushasan ka du saahhas dekho..
Kesh pakad draupadi ko laya
Purkhon ko kalankit karke
Na dekh saka govind ki maya
Bheem ne fir li pratigya
Duryodhan jaangha main todunga….
Lahu ko fir dushaashan ke
Main Dhad se alag nichodunga
Bara saal vo beet chale
Aur 13va tha agyaatvaas
Dhvani suni gandeev ki
Aur yudh ka hua abhaas
Krishna ki Sena kaurav ki
Khud Krishna chale arjun ke sang
Fir yudh chida aur jahan bhi
Dekha charo or lahu ka rang
Arjun k mann mein shanka thi
Kaise unpe prahaar kare
Geeta ka usko saar sikhaya
adharm ka vo sanghaar kare
Yudh ka aya pehla din
Teero ki varsha hone lagi
bheesm jo aaye rath pe toh
Pandu sena bhi dhvasth lagi
Duja din jab yudh ka aya
Arjun ne kaushal dikhlya
Shashtro ki takraar hui aur
Bheesm na aage bad paya
Vardaan mila tha mrityu
bhi icha se ho
Par Shastra uthe na saamne
jab shikhandi ho
Khud apna hi raaz bataya……
maut ko fir khud gale lagaya…..
Arjun Teero se shaiyaa bani
Pyaas lagi pitamah ko toh
Vo bhi arjun se hi bujhi
Jisko koi tod sake na,
Asie vyuh ki rachna kar di
Todd diya ek balak ne uss
Abhimanyi ki hatya kardi
Kaisa inka hath hai
Aur kaisa inka hai ye dhram
Ik taraf jalti hai chita
Aur duji or chalni hai badan
Yudh hua dekha vo aisa bheesan
teer chala aur duja aaya
Karan jo rath se utra toh
Ik Teer hriday ko cheer aaya
Hua Sarvnaash tha chaaro or
Ab vinash tha chaaro or
Dhad sar se alag ab girne lage
Adharmi sab ab marne lage
Dritrashtea 100 putro ki sankhya ab kam hone lage
Shakuni ka bhi ant hua
aur tha ab vadh dushaasan ka
uske seene ko cheer diya
Ab lahu ke sang shavaasan tha
24. Duvidha mein duryoudhan tha
Jeet ka koi asaar nahi
Yudh mein kaise vijay mile
Jeevan ka bass adhaar yahi
Vajra ka uska kavach mila
Par jhangha mein kamzori thi
Matra prem aur shiv avaahan
Se shakti batori thi
Ek shishya balram ka tha
Aur duje sang thi krishna ki maya
fir kapann mehsoos hui jo
In dono ke gada se aya
Do yodha ka bal takraya
Bhim laga tha kuch asahaya
Dekha jab murli ne toh
Ishaaro mein tha kuch samjhaya
samajh ke uss ishaare ko…
Jab gada bheem ne mara vo
Duryodhan jhangha toot gayi
na uth paya dobara vo……
Adarmiyon ka vinassh hua
Ant meim dharm bhi jeet gaya
Dwaper yug bhi beet gaya….
Aur kalyug ka arambh hua