राम तेरा आसरा राम हिंदी भजन लिरिक्स
Ram Tera Aasra Ram Hindi Bhajan Lyrics
Download Ram Tera Aasra Ram Hindi Bhajan Lyrics :MP3 | MP4 | M4R iPhone | Download For Android Phone | Download For Apple Phone | Download For Audio File | Download For Video File
Ram Tera Aasra Ram Hindi Bhajan Lyrics -HD Video Download
Ram Tera Aasra Ram Hindi Bhajan Lyrics
[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Majbooriyan hamari
Majbooriyan hamari sab tu hi jaanta hai
Koi apna nahi hota, log hasne waale hote hai
Hasne waale hote hai, koi apna nahi hota, koi apna nahi hota
Apne to sirf Ram hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Log to soche ye rapper hai jo karta gaane remix
Hari bhajan kya jaanega ye bas likhta gehre lyrics
Kya hi main bataun tumhe rishta mera Ram se
Treta waali baatein ye jo kaagazon pe di hai likh
Logon ne na dard aur aansu kabhi dekhe hai
Sapne they chita pe jab sabne has ke seke hai
Aansu bhare naina dekhe, dekhi khaali jebe bhi
Din jo bhookhe kaate hai wo Ram ne hi dekhe hai
Feke hai siyaahi ke chinte maine kaagzon pe
Har gaane mein poocha, kya Ram mera saath doge?
Tretayug se aaya fir hath mere Ram ka
Aaj mujhe Ram ne baitha daala hai baadalon pe
Dhanywaad maalik jo de rahe ho saath
Dhanywaad aapka jo samjhe har baat
Sare hi janam mein rahu tera main aabhari
‘Gar din na bure dekhe hote aaj main kya karta yaad?
Hum kya bataye tumko sab kuch tumhe khabar hai
Hum kya bataye tumko sab kuch tumhe khabar hai
Har haal mein hamari teri taraf nazar hai
Jeevan mein bhale hi bhookhe reh lena
Lekin ghar se muskurate hue niklna
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Majbooriyan hamari
Majbooriyan hamari sab tu hi jaanta hai
Saare jahan ke malik
Sakha ye jo dil hai na ye kaafi zyda halka hai
Tutne ka iska bas khud ko pata chalta hai
Jazbaaton ko dabana na, ro ke halka ho lena
Rona par akele mein, zamana kyunki hasta hai
Hasne de zamane ko, ye zalim banke lootega
Zahir karna dardon ko na, haal-e-dil pe thookega
Taanon ko ye dene se na thoda sa bhi chookega
Ghar mein tere khana hai kya koi nahi poochega
Koi nahi poochega par Ram tujhe poochenge
Behte in aansuon ko Ram hi to ponchenge
Unpe tu bharosa rakh saaro ke wo malik hai
Tere acche bure ka wo sahi tarah sochenge
Dhanywaad maalik jo chora nahi sath
Sath mera diya jab toote they halat
Log mujhe pooche kyun tu bhakti gaane gaata
Shayad ab samjhoge tum mere bhi jazbaat
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Majbooriyan hamari
Majbooriyan hamari sab tu hi jaanta hai
Saare jahan ke malik
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aas….
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik tera hi aasra hai
Saare jahan ke malik
Saare jahan ke malik
Saare jahan ke malik
Hamari mata ne humein ek cheez sikhayi
Jeevan mein bhale hi bhooke reh lena
Lekin ghar se muskurate hue niklna